Friday, March 29, 2024

Mohabbat Aur Jannat ka darwaza

Mohabbat Aur Jannat Ka Darwaza


Feriha ek cousin se pyar karti thi jo wo kisi ko batati nahin thi uska nam wahid tha wahid uski door ki khala ka beta tha feriha k bhai aur wahid me bahut achchi dosti thi is dosti k beech me mohabbat ake darar ban rahi thi jo feriha ko nahin mlm tha wahid usi shaher me ek hostel me raheta tha jahan feriha ki family raheti thi wahid ek din bahut beemar hogaya wahid ka koi yahan nahin tha to feriha k bhai hasan ko maloom pada ki wahid bahut beemar hai to usko le aya apne ghar wahid ko hasan ki ammi dekhi to bhut khush hui aur bahut achche se khyal rakhi uska wahid kuch din wahan tha
phr wapis chala gaya apne hostel hasan ki ammi wahid ko kabhi kabhi bulati thi bolti thi ki beta ye bhi tumhara ghar hai tum apna samjh m aya karo wahid ne bola haan zaroor aunga wo ata tha wahid apne college ke dosto ke saath zyada waqt guzarta tha hasan ki ammi usko apna family member samjh k samjhati thi beta jab free raha karo to mere yahan a jaya karo dosto me zyada mat raha karo to wahid unki baat bahut manta tha wahid zyada waqt yahin guzarne laga tha 

phr achanak se wahid ka accident ho gaya wahid aya hasn k ghar pe to hasan school gaya hua tha hasan ki ammi gahera zakham nahi dekh sakti thi wo dekh k dar gai feriha ko bulai feriha aai usko boli saf karo dekho kafi chot agai wahid ko marham patti karo dodh me haldi lao pilao feriha se phr thodi der baad uski ammi mazaq ki tum beta apne bhai ko kabhi aise nahi ki kya baat wo hasi aur boli ammi aap bhi wahid bhi sharma gaya feriha ki ammi bahut mazahiya thi feriha phr usi din se feriha thoda free ho gai mazaq karne lagi hasan school se ghar aya dekha wahid ka ye hal to wo bahut chillaya ammi main isko samjhta raheta hoon lekin ye nahin samjhta wahid bhi chup chap sun raha tha q ki wahid aur hasn ek dost hi nahin cousin bhi thi hasn thoda bada tha wo dat bhi deta wahid khishi khushi sun leta wahid Hasan itne khas dost the ki dono k beech kuch chupa nahin tha wahid college me padhta tha to wo college me bahut sare dost banaya tha aur ladkiyon me bhi bahut sari dost thi 
wahid jab kisi apni dost se baat kare to hasan k samne hi kare hasan bole bhai yar kitne log se baat karte hue inhi beech ek nai ladki Zoha nam se message ki to hasan ne dekh bola bhai ek kam karo tum college me busy rahete ho tum apna account mujhe dedo main baat karoon hasan kuch ek do din baat kiya to shayed usko malm pad gaya ki wo zoha kaun hai phr wahid ko uska account wapis kardiya bola bhai main block kardiya tum bhi baat mat karo wahid socha aisi kya baat ho gai phir se wo kabhi kabhi baat kare ek din aisa hua hasan aur uski family gaon jarahe thi shadi me to wahid bhi akela ho gaya wahid ke college band tha wo akele boriyat k liye mobile chala raha tha 

aur tabhi zoha ka message aya baat hi chal rahi thi zoha ne apna chupaya hua raaz bata diya ki mai feriha hoon wahid ko thoda jhatka laga mana kiya wo boli main bahut payar karti hoon usdin main aap ko marham patti kyoon kiya bas iske liye tum se mohabbat ho gai thi wahid bhi uski bato me agaya aur wo bhi mohabbat karne laga dono apas me chup chhup ke batain karte the aur dono ek doosre se be inteha pyar hogaya utne me isi k khuch din baad hasan ko shaq hogaya aur bola samjh jao wahid bhi bola kya baat hai bhai bola ishara kafi hai wahid samjha kuch baat hogi wahid zoha se bola ki malm nahi hasn mere se achche se baat nahin krta aur ulta seedha bolta hai lagta hai usko malm pad gaya kya zoha boli ho sakta hai janedo main bhai se baat kar lungi wo mujhe bahut manta hai wahid bola phr koi baat hi nahin kuch arsa guzra hasan ki ammi wahid ko leke gai market karne wahid ko bahut manti thi kahin bhi jana ho wahid ko leke jati thi wahid aur hasan ki ammi gae sath me phr waha se aaye to hasan ka mood sahi nahin uski ammi thaki hui thi so gai hasan bola wahid tum mere ghar se saman uthao chale jao wahid bola kya baat hai abhi thaka aya Bola nahin nikal jao wahid apna saman uthaya bag pack kiya nikal gaya jab uski ammi so k uthi to dekhi wahid nahi to poochi koi kuch nahin bol raha zoha se poochi wo ro rahi thi wahid ko call ki wahid bhi kya bole wo bhi tension me bahut tha wahid ne message karke sab bata diya phr bhi uski ammi zabardasti karke bulai wahid gaya to ro raha tha uski ammi boli beta bata dete hamen pahele ham tumhari ammi se baaat karke shadi laga dete

 ye sab ki zaroorat hai nahin hoti waise bhi ham tumko bahut mante hai tumhari ammi meri bahen hi nahin dost bhi achchi wahid chup chap suna hasan se chai mag wai chai piya boli ab aisi harkat mat karna wahid chup cahap suna wahid ko boli tumhe yahi rahena par zoha parda karegi wahid sunte uske pair se zamin khisak gai wahid bola thk hai par kuch din door rahena hai main hostel me hi sahi hai mujhe kuch din rahene do phr ajaunga hasn ki ammi boli thk hai beta jisme khushi ye baat itni badh gai ki wahid ki ammi ko bhi malm pad gai wahid ki ammi aur hasan ki ammi dono me baat ho gai wahid hasan ki ammi ko message kare ki ek baar zoha se baat karwa dijiye boli wo nahin karne boli main bola aap mujhe manti hain to karwa dijiye boli thik hai khud hi message kare wahid ko lage zoha karrahi par yaqeen nahin tha ki zoha q ki wo message kare to bole hamara safar yahi tak tha ab baat nahin karungi na pyar karti hoon sab natak tha wahid ko yaqeen nahin hua wahid gaya uske ghar pe aur bola mujhe akele men milna do minute k liye boli kya aisi baat jao achcha millo zoha ko doosre kamre me le gaya baat kiya boli main bahut pareshan hoon main apne hath pe kat ke wahid likhi thi mere hath ko jala jala k mitane ki koshish kiye par jane do pyar me chalta hai majn bahut pyar karti hoon tumhe chod nahin sakti tum mijhe le chalna sath me aur kal mere school pe aao jab mera school chootne ka time hoga tbhi aur in log k samne main natak karungi mera tumhare beech kuch nahin

 wahid ek dam khush ho gaya wahid kamre k bahar aya uski ammi se bola jhoot jhoot ki ye kya baat hui ye bhi natak koi wahid ki izzat kam ho gai un log k beech wahid gaya school k paas mila mil ke aya wahid phr bhi ata tha hasn k ghar hasan bhaut gusse me tha wahid bola maf kardo mere bhai bahut mafi maga phr dono me achche se baat ho gai aise kuch arsa guzra hasan ki ammi ki tabiat kharab thi wahid ake poocha kya hua wo bola bhai koi ahemdabad se ane wala hai wahid bola q kya baat hai bola ammi ki dawa magani hai bahut zaroori ab wahid bhi pareshan ho gaya iske shaher se ahemdabad 250 km tha jane me 6 ghanta lagta kafi door aur December ki thandi thi wahid socha q na main chala jaoon thoda inlog k dil me aur mohabbat paida ho jayegi
wahid subah subah fajar ki namz padh k utha aur zoha uth gai thi wo chae bana kdi wahid bike se nikal gaya aur leke aya der sham ho gai thi hasn ki ammi poochi itna kaap q rahe ho aur aisi halat q bana rahi wahid bola main apki dawa labe chala gaya tha sabko sunte hi ronte khade ho gaye itni door gaye abhi gaye kaise bahut daaat padi wo log bahut pyar karne lage aisa laga jaise wahid ne chand tod k ladiya aise hi kuch din guzra hasan ka exam chal raha tha aur uski ammi ko doctor k yahan dikhane jana tha to uski ammi wahid ko aur zoha ko sath leke gai wahid aur zoha bahut khushi khushi gaye bus me khoob masti kiye zoha ki ammi so gai bus me kafi lamba safar tha to zoha aur wahid khub masti kiye wahan doctor ko dikha k wapas agaye bahut khushi aur halchal thi ghar me 

hasan ki ammi market karne jati thi jo saman hasan k liye le wo wahid ko bhi deti thi wahid bhi bahut khush tha wahid ki nani ammi bhi bahut khush thi wahid ke abbu jail me the ye baat sabko malm thi lekin zikr nahin hota tha akhir wahid ko batana hi padta wahid ne ghar se jane ki koshish ki to hasan ki ammi boli kya baat kahan jana abhi tumhari padhai mukammal nahun hui wahid ne bataya sab bat ki main mere abbu ko chudane jana hai aur wahid k rishtedar wale bahut darte the kahin wahid apne abbu k chakkar me phas jaye lekin wahid bahut akalmnd tha wo khud sab dekhte hue chal raha tha hasan ki ammi ne wahid se bola beta tum mat jao yahi raho padhai mukammal karo age padhna hoga to main padha dungi lekin karlo wahid ko ek baap ka saya chahiye tha lekin wahid ne us pyar k saye k liye sab qurban karne ko tayar tha wahid akhir nahin suna wahan se rawana ho gaya zoha se baat kiya bola main tumse baat karta rahunga ata rahunga milne zoha bhi bahut khush thi ki Ki uski mehanat ka phal mil jayega par use nahin malm tha beech me kuch mushkilat se guzarna pade jisme shart ho uski ammi ne wahid se boli thi apne abbu ko chuno ya ham log par wahid ne bola abbu ko chunuga akhir uske pyar ko sauda bana dale wahid apne k liye shaher ko rawana ho gaya wahid k wahan zoha ka message aya to zoha ne bola wahid tum q gaye tum q meri ammi ki baat nahin sune meri ammi tumko kitna pyar karti

 kitna manti wahid ne bola main bhi aap ki ammi ko pyar karta aur apne abbu ko makan nahin chod sakta dono me kisi ko zoha ka akhiri message aya ki main phir tumhe chod dungi wahid ne bola main jannat k darwaze ka sauda nahin kar sakta main aap se bhi bahut pyar karta hun main agar mere abbu ko nahin chudaya to kaun chudaega zoha ne bola main kuch nahin janti tumhe manzoor to bolo wahid bahut samjhya par unhone nahin samjha wahid bechara tadap kar rahe gaya aur na jane kitna roya dua kiya pyar ko pane k liye par Zoha ne thukra diya aur wahid aaj bhi rota hai pyar k liye..........
Yousuf Azim Khan ✍️

4 comments:

کچھ سمجھ کر ہی ہوا ہوں موجِ دریا کا حریف ورنہ میں بھی جانتا ہوں عافیت ساحل میں ہے

​ کچھ سمجھ کر ہی ہوا ہوں موجِ دریا کا حریف ورنہ میں بھی جانتا ہوں عافیت ساحل میں ہے